اردو हिंदी
Ye sahra bas abhi gulzar ho jaane hi wala hai | Shaahi Shayari
ye sahra bas abhi gulzar ho jaane hi wala hai

Ghazal

Ye sahra bas abhi gulzar ho jaane hi wala hai

Khalid Ebadi

;

ye sahra bas abhi gulzar ho jaane hi wala hai
koi tufan nahin to qafila aane hi wala hai

zara Thahro use aane do us ki baat bhi sun len
hamein jo ilm hai go dil ko dahlane hi wala hai

samundar mein jazire hain jaziron par hai aabaadi
abhi ek shor bas kanon se Takrane hi wala hai

hawa-e-fasl-e-gul mein shorish-e-baad-e-KHizan bhi hai
kali khilti hai yani phul murjhane hi wala hai

kahan jaoge kis KHak-e-tamanna ki hawas mein ho
tumhaari rah ka har moD virane hi wala hai

wahi gharqab honge hum wahi kashti na Dubegi
agarche naKHuda is sach ko jhuTlane hi wala hai