ye sadma us ko pagal kar gaya tha
wo apne aaine se Dar gaya tha
koi bhi sar nahin tha us ke qabil
abas us shahr mein patthar gaya tha
jahaalat ke hawale paDhte paDhte
kitabon se mera ji bhar gaya tha
pilata kaun us pyase ko pani
koi masjid koi mandar gaya tha
wo kis miTTi ka tha nafrat ke ghar mein
wo oDhe pyar ki chadar gaya tha
mera ehsas to tere karam se
mere marne se pahle mar gaya tha
na nikla phir wo sari umr ghar se
zara si der ko bahar gaya tha
tu phir luTa hai kis ne qafile ko
udhar to sirf ek rahbar gaya tha
wahan phir pair kab rakkha kisi ne
jahan raste mein mera sar gaya tha

Ghazal
Ye sadma usko pagal kar gaya tha
Saeed Ahmad Akhtar