ye sach nahin ki tamazat se Dar gai hai nadi
sukun-e-dil ke liye apne ghar gai hai nadi
abhi to pahne hui thi libas-e-KHamoshi
ye kya hua ki achanak biphar gai hai nadi
hamein ye Dar hai ki phir se biphar na jae kahin
qadam baDhao ki is waqt utar gai hai nadi
wo shaKHs taDpa na chillaya aur mar bhi gaya
pata chala nahin kab war kar gai hai nadi
nahin mili jo rifaqat kisi samundar ki
to reza reza si ho kar bikhar gai hai nadi
na jaane aaj tu itni malul si kyun hai
ye kya hua ki teri aankh bhar gai hai nadi
suna suna ke ghamon ki kahaniyan 'firdaus'
mujhe to aur bhi ghamgin kar gai hai nadi
Ghazal
Ye sach nahin ki tamazat se Dar gai hai nadi
Firdaus Gayavi