ye sach hai baham us ki mohabbat bhi nahin thi
aur tark marasim hon ye himmat bhi nahin thi
us shaKHs ki ulfat mein giraftar ye dil tha
jis shaKHs ko chhune ki ijazat bhi nahin thi
kuchh zaKHm-e-tamanna ko na tha shauq-e-mudawa
kuchh us ko masihai ki aadat bhi nahin thi
the rah-e-mohabbat mein paDaw kai lazim
kya kijiye rukna meri fitrat bhi nahin thi
jo KHwab-e-shikasta ko ata hausla karti
hasil wo junun-KHez rifaqat bhi nahin thi
har-chand ki afsos bichhaDne ka hamein tha
lekin milen hum phir kabhi hasrat bhi nahin thi
wahshat mein charaghan mein tere qurb se karta
afsos mayassar ye suhulat bhi nahin thi
kuchh raste dushwar manazil ke the aur kuchh
jazbon mein 'KHayal' apne sadaqat bhi nahin thi

Ghazal
Ye sach hai baham uski mohabbat bhi nahin thi
Rafique Khayal