اردو हिंदी
Ye sab kahne ki baaten hain ki aisa ho nahin sakta | Shaahi Shayari
ye sab kahne ki baaten hain ki aisa ho nahin sakta

Ghazal

Ye sab kahne ki baaten hain ki aisa ho nahin sakta

Hafeez Jaunpuri

;

ye sab kahne ki baaten hain ki aisa ho nahin sakta
mohabbat mein jo dil mil jae phir kya ho nahin sakta

shikayat ho nahin sakti ki shikwa ho nahin sakta
zara sa chheD de koi to phir kya ho nahin sakta

burai ka ewaz hargiz bhalai ho nahin sakti
bura kah kar kisi ko koi achchha ho nahin sakta

hamara un ka qissa log sunte hain to kahte hain
maza hai hashr tak yaksu ye jhagDa ho nahin sakta

karen teri shikayat kya ki tu ek dost hai apna
kisi dushman ka bhi hum se to shikwa ho nahin sakta

ilahi jazb-e-dil ki is kashish se baz aaya main
koi parda-nashin kahta hai parda ho nahin sakta

'hafiz' un ki ghazal hai choT kha baiThi hain jo dil par
baghair is ke suKHan mein lutf paida ho nahin sakta