اردو हिंदी
Ye saat-e-rangini-e-afkar rahegi | Shaahi Shayari
ye saat-e-rangini-e-afkar rahegi

Ghazal

Ye saat-e-rangini-e-afkar rahegi

Muneer Saifi

;

ye saat-e-rangini-e-afkar rahegi
ta-umr yun hi garmi-e-bazar haigi

KHushbu-e-hadis-e-lab-o-ruKHsar rahegi
kal itni jawan zulf-e-shab-e-tar rahegi

diwangi jo be-dar-o-diwar rahegi
galiyon mein to zanjir ki jhankar rahegi

chhat kaghzi miTTi ki ye diwar rahegi
barish ki inayat to lagatar rahegi

duniya mein yunhi raunaq-e-pindar rahegi
kandhon pe mere sar hai to dastar rahegi

sukha hua patta to hawaon mein uDega
dharti ki taraf shaKH-e-samar-dar rahegi

suraj meri nas nas mein pighalne laga yaro
phir dil pe gham-o-dard ki yalghaar rahegi

chaTTan ke kaT jaane ka imkan bahut hai
pani ki isi tarah jo raftar rahegi

barish ke darichon se chamakne lagi bijli
'saifi' ye ghani shab sahar-asar rahegi