ye rang-o-kaif kahan tha shabab se pahle
nazar kuchh aur thi mauj-e-sharab se pahle
na jaane haal ho kya daur-e-iztirab ke baad
sukun mila na kabhi iztirab se pahle
wahi gharib hain KHana-KHarab se ab bhi
rawan-dawan the jo KHana-KHarab se pahle
wahi hai hashr ka aalam ab inqalab ke baad
jo hashr uTha tha yahan inqalab se pahle
mili hai tujh se to mahsus ho rahi hai nazar
nazar kahan thi tere intiKHab se pahle
tabah haal zamane ko dekhiye 'aKHtar'
nazar uThaiye jam-e-sharab se pahle
Ghazal
Ye rang-o-kaif kahan tha shabab se pahle
Akhtar Ansari Akbarabadi