اردو हिंदी
Ye rang be-rang sare manzar hain ek jaise | Shaahi Shayari
ye rang be-rang sare manzar hain ek jaise

Ghazal

Ye rang be-rang sare manzar hain ek jaise

Inam Kabeer

;

ye rang be-rang sare manzar hain ek jaise
ye phul sare ye sare nashtar hain ek jaise

ye awwal awwal tamam bikhre hue manazir
nazar jama lo to aaKHar aaKHar hain ek jaise

meri nigahon se ho ke jata hai un ka pani
ye sare dariya sabhi samundar hain ek jaise

main kal jis ko milaun ja kar mile usi ko
ye kya ki duniya ke sare number hain ek jaise

ye muskurahaT ka ek parda sa gar haTa kar
'kabir' dekho to sab ke andar hain ek jaise