اردو हिंदी
Ye qissa wo nahin tum jis ko qissa-KHwan se suno | Shaahi Shayari
ye qissa wo nahin tum jis ko qissa-KHwan se suno

Ghazal

Ye qissa wo nahin tum jis ko qissa-KHwan se suno

Bahadur Shah Zafar

;

ye qissa wo nahin tum jis ko qissa-KHwan se suno
mere fasana-e-gham ko meri zaban se suno

sunao dard-e-dil apna to dam-ba-dam fariyaad
misal-e-nai meri har ek ustuKHwan se suno

karo hazar sitam le ke zikr kya yak yar
shikayat apni tum is apne nim-jaan se suno

KHuda ke waste ai hamdamo na bolo tum
payam laya hai kya nama-bar wahan se suno

tumhaare ishq ne ruswa kiya jahan mein hamein
hamara zikr na tum kyunki ek jahan se suno

suno tum apni jo tegh-e-nigah ke ausaf
jo tum ko sunna ho us shoKH-e-dil-sitan se suno

'zafar' wo bosa to kya dega par koi dushnam
jo tum ko sunna ho us shoKH-e-dil-sitan se suno