اردو हिंदी
Ye qissa-e-gham-e-dil hai to bankpan se chale | Shaahi Shayari
ye qissa-e-gham-e-dil hai to bankpan se chale

Ghazal

Ye qissa-e-gham-e-dil hai to bankpan se chale

Anvar Moazzam

;

ye qissa-e-gham-e-dil hai to bankpan se chale
kisi nigah pe Thahre kisi badan se chale

na jaane kis ke karam se khile kali dil ki
sumum-e-dasht se uThe saba chaman se chale

wo aae dil mein to yun jaise sham ka tara
misal-e-mah sitaron ki anjuman se chale

fasane chaak-e-gareban ke paD gae phike
junun ki baat kabhi tere pairahan se chale

hujum-e-subh ki tanhaiyon mein Dub gae
wo qafile jo andheron ki anjuman se chale