ye qarz-e-kaj-kulahi kab talak ada hoga
tabah ho to gae hain ab aur kya hoga
yahan tak aai hai biphre hue lahu ki sada
hamare shahr mein kya kuchh nahin hua hoga
ghubar-e-kucha-e-wada bikharta jata hai
ab aage apne bikharne ka silsila hoga
sada lagai to pursan-e-haal koi na tha
guman tha ki har ek shaKHs ham-nawa hoga
kabhi kabhi to wo aankhen bhi sochti hongi
bichhaD ke rang se KHwabon ka haal kya hoga
hua hai yun bhi ki ek umr apne ghar na gae
ye jaante the koi rah dekhta hoga
abhi to dhund mein lipTe hue hain sab manzar
tum aaoge to ye mausam badal chuka hoga
Ghazal
Ye qarz-e-kaj-kulahi kab talak ada hoga
Iftikhar Arif