اردو हिंदी
Ye nikhaton ki narm-rawi ye hawa ye raat | Shaahi Shayari
ye nikhaton ki narm-rawi ye hawa ye raat

Ghazal

Ye nikhaton ki narm-rawi ye hawa ye raat

Firaq Gorakhpuri

;

ye nikhaton ki narm-rawi ye hawa ye raat
yaad aa rahe hain ishq ko TuTe talluqat

mayusiyon ki god mein dam toDta hai ishq
ab bhi koi bana le to bigDi nahin hai baat

kuchh aur bhi to ho in ishaaraat ke siwa
ye sab to ai nigah-e-karam baat baat baat

ek umr kaT gai hai tere intizar mein
aise bhi hain ki kaT na saki jin se ek raat

hum ahl-e-intizar ke aahaT pe kan the
ThanDi hawa thi gham tha tera Dhal chali thi raat

yun to bachi bachi si uThi wo nigah-e-naz
duniya-e-dil mein ho hi gai koi wardat

jin ka suragh pa na saki gham ki ruh bhi
nadan hue hain ishq mein aise bhi sanehat

har sai o har amal mein mohabbat ka hath hai
tamir-e-zindagi ke samajh kuchh muharrikat

us ja teri nigah mujhe le gai jahan
leti ho jaise sans ye be-jaan kaenat

kya nind aae us ko jise jagna na aae
jo din ko din kare wo kare raat ko bhi raat

dariya ke madd-o-jazr bhi pani ke khel hain
hasti hi ke karishme hain kya maut kya hayat

ahl-e-raza mein shan-e-baghawat bhi ho zara
itni bhi zindagi na ho paband-e-rasmiyat

hum ahl-e-gham ne rang-e-zamana badal diya
koshish to ki sabhi ne magar ban paDe ki baat

paida kare zamin nai aasman naya
itna to le koi asar-e-daur-kaenat

shair hun gahri nind mein hain jo haqiqaten
chaunka rahe hain un ko bhi mere tawahhumat

mujh ko to gham ne fursat-e-gham bhi na di 'firaq'
de fursat-e-hayat na jaise gham-e-hayat