ye naya zulm nai tarz-e-jafa hai ki nahin
wo bura kah ke ye kahte hain suna hai ki nahin
ji mein aata hai ki dekhun kabhi sar phoD ke main
wasl un ka meri qismat mein likha hai ki nahin
hum isi fikr mein be-maut mare jate hain
un ke hathon se hamari bhi qaza hai ki nahin
lo mere zikr-e-mohabbat pe ye irshad hua
qais o farhad ka anjam suna hai ki nahin
sun ke ashaar yahi 'nuh' se wo puchhte hain
tujh mein kuchh aur sifat is ke siwa hai ki nahin
Ghazal
Ye naya zulm nai tarz-e-jafa hai ki nahin
Nooh Narvi

