ye narm narm hawa jhilmila rahe hain charagh
tere KHayal ki KHushbu se bas rahe hain dimagh
dilon ko tere tabassum ki yaad yun aai
ki jagmaga uThen jis tarah mandiron mein charagh
jhalakti hai khinchi shamshir mein nai duniya
hayat o maut ke milte nahin hain aaj dimagh
harif-e-sina-e-majruh o aatish-e-gham-e-ishq
na gul ki chaak-garebaniyan na lale ke dagh
wo jin ke haal mein lau de uThe gham-e-farda
wahi hain anjuman-e-zindagi ke chashm-o-charag
tamam shola-e-gul hai tamam mauj-e-bahaar
ki ta-had-e-nigah-e-shauq lahlahate hain bagh
nai zamin naya aasman nai duniya
suna to hai ki mohabbat ko in dinon hai faragh
jo tohmaten na uThin ek jahan se un ke samet
gunahgar-e-mohabbat nikal gae be-dagh
jo chhup ke taron ki aankhon se panw dharta hai
usi ke naqsh-e-kaf-e-pa se jal uThe hain charagh
jahan-e-raaz hui ja rahi hai aankh teri
kuchh is tarah wo dilon ka laga rahi hai suragh
zamana kud paDa aag mein yahi kah kar
ki KHun chaT ke ho jaegi ye aag bhi bagh
nigahen matla-e-nau par hain ek aalam ki
ki mil raha hai kisi phuTti kiran ka suragh
dilon mein dagh-e-mohabbat ka ab ye aalam hai
ki jaise nind mein Dube hon pichhli raat charagh
'firaq' bazm-e-charaghan hai mahfil-e-rindan
saje hain pighli hui aag se chhalakte ayagh
Ghazal
Ye narm narm hawa jhilmila rahe hain charagh
Firaq Gorakhpuri