ye mulaqat mulaqat nahin hoti hai
baat hoti hai magar baat nahin hoti hai
baryabi ka bura ho ki ab un ke dar par
agle waqton ki mudaraat nahin hoti hai
gham to ghanghor ghaTaon ki tarah uThte hain
zabt ka dasht hai barsat nahin hoti hai
ye mera tajraba hai husn koi chaal chale
bazi-e-ishq kabhi mat nahin hoti hai
wasl hai nam ham-ahangi o yak-rangi ka
wasl mein koi buri baat nahin hoti hai
hijr tanhai hai suraj hai sawa neze par
din hi rahta hai yahan raat nahin hoti hai
zabt-e-girya kabhi karta hun to farmate hain
aaj kya baat hai barsat nahin hoti hai
mujhe allah ki qasam sher mein tahsin-e-butan
main jo karta hun meri zat nahin hoti hai
fikr-e-taKHliq-e-suKHan masnad-e-rahat pe hafiz
bais-e-kashf-o-karamat nahin hoti hai
Ghazal
Ye mulaqat mulaqat nahin hoti hai
Hafeez Jalandhari