اردو हिंदी
Ye moajaza hai ki main raat kaT deta hun | Shaahi Shayari
ye moajaza hai ki main raat kaT deta hun

Ghazal

Ye moajaza hai ki main raat kaT deta hun

Moid Rashidi

;

ye moajaza hai ki main raat kaT deta hun
na jaane kaise tilismat kaT deta hun

wo chahte hain ki har baat man li jae
aur ek main hun ki har baat kaT deta hun

nami si tairti rahti hai meri aankhon mein
ba-iKHtiyar main barsat kaT deta hon

tera KHayal hi ab mera ism-e-azam hai
isi se sare KHayalat kaT deta hun

ye raat kaTti rahti hai subh tak mujh ko
na jaane kaise main har raat kaT deta hun