ye mashwara baham uTThe hain chaara-ju karte
ki ab mariz ko achchha tha qibla-ru karte
zaban ruk gai aaKHir sahar ke hote hi!
tamam raat kaTi dil se guftugu karte
sawad-e-shahr-e-KHamoshan ka dekhiye manzar!
suna na ho jo KHamoshi ko guftugu karte
tamam ruh ki lazzat isi pe thi mauquf
ki zindagi mein kabhi tum se guftugu karte
jawab hazrat-e-naseh ko hum bhi kuchh dete
jo guftugu ke tariqe se guftugu karte
pahunch ke hashr ke maidan mein haul kyun hai 'aziz'
abhi to pahli hi manzil hai justuju karte
Ghazal
Ye mashwara baham uTThe hain chaara-ju karte
Aziz Lakhnavi