اردو हिंदी
Ye maine mana ki pahra hai saKHt raaton ka | Shaahi Shayari
ye maine mana ki pahra hai saKHt raaton ka

Ghazal

Ye maine mana ki pahra hai saKHt raaton ka

Sarfraz Nawaz

;

ye main ne mana ki pahra hai saKHt raaton ka
yahin se niklega phir qafila charaghon ka

yun KHushbuon mein Duboe hue rakhun kab tak
gunah kyun na main kar lun qubul hathon ka

charagh-pa hai meri nind in dinon mujh se
main koi shahr basane laga tha KHwabon ka

hiran si chaukDi bharne lagegi har dhaDkan
jo zikr chheD dun us ki ghazal aankhon ka

KHumar o kaif-o-surur-o-nashat ka aalam
main qarz-dar bahut hun tumhaari bahon ka

ai din tu raushni de kar ke is ke badle mein
hisab mang na mujh se siyah raaton ka

badan-sarae mein Thahra hua musafir hun
chuka raha hun kiraya main chand sanson ka