اردو हिंदी
Ye mana nindon se aksar fareb khate rahe | Shaahi Shayari
ye mana nindon se aksar fareb khate rahe

Ghazal

Ye mana nindon se aksar fareb khate rahe

Madan Mohan Danish

;

ye mana nindon se aksar fareb khate rahe
hamare KHwab magar phir bhi jagmagate rahe

wo sada log kahin ab nazar nahin aate
jo dusron ke liye rasta banate rahe

kai sitare jinhen aasman satata raha
unhen zamin pe la kar hamin sajate rahe

hamin ne lamhon ko yakja kiya to raat hui
hamin bikher kar lamhon ko din banate rahe

farishton jaise hi hote hain tajarbe 'danish'
tamam umr hamin rasta batate rahe