ye log jis se ab inkar karna chahte hain
wo guftugu dar-o-diwar karna chahte hain
hamein KHabar hai ki guzrega ek sail-e-fana
so hum tumhein bhi KHabar-dar karna chahte hain
aur is se pahle ki sabit ho jurm-e-KHamoshi
hum apni rae ka izhaar karna chahte hain
yahan tak aa to gae aap ki mohabbat mein
ab aur kitna gunahgar karna chahte hain
gul-e-umid farozan rahe teri KHushbu
ki log use bhi giraftar karna chahte hain
uThae phirte hain kab se azab-e-dar-badri
ab is ko waqf-e-rah-e-yar karna chahte hain
jahan kahani mein qatil bari hua hai wahan
hum ek gawah ka kirdar karna chahte hain
wo hum hain jo teri aawaz sun ke tere hue
wo aur hain ki jo didar karna chahte hain
Ghazal
Ye log jis se ab inkar karna chahte hain
Saleem Kausar