اردو हिंदी
Ye lau kaisi hai jo ek sans bhi maddham nahin hoti | Shaahi Shayari
ye lau kaisi hai jo ek sans bhi maddham nahin hoti

Ghazal

Ye lau kaisi hai jo ek sans bhi maddham nahin hoti

Mohammad Abbas Safiir

;

ye lau kaisi hai jo ek sans bhi maddham nahin hoti
bhulane par bhi zalim yaad us ki kam nahin hoti

ye matlab-ashna duniya ye zalim bewafa duniya
sharik-e-aish kar lije sharik-e-gham nahin hoti

adam ke jaane wale qafile din-raat chalte hain
magar is anjuman ki dilkashi kuchh kam nahin hoti

na puchh ai ham-nashin rudad-ha-e-sham-e-gham hum se
qayamat ki sahar hoti hai sham-e-gham nahin hoti

bhulaya hai mujhe tu ne teri barham-mizaji ne
magar bedard teri yaad phir bhi kam nahin hoti

nahin waqif tu ai dil aatish-e-soz-e-mohabbat se
ye daulat jis qadar aati hai ghar mein kam nahin hoti

'safir' ab tak to rudad-e-mohabbat KHam hai teri
abhi to aankh bhi fart-e-alam se nam nahin hoti