ye kya zarur hamin ko wo aazmaega
har aane wala muqaddar bhi sath laega
kise KHabar hai ki is tira-KHak-dan ke liye
hai ek dil hi to raushan so Dub jaega
khule darichon se yun jhankti hai mayusi
ki jaise ab koi jhonka idhar na aaega
udas raat ki sargoshiyon ke baad agar
sahar jo aai to kis ko yaqin aaega
main jis ke mazi ka ek lamha-e-gurezan hun
ye dekhna hai wo kaise mujhe bhulaega
hazar KHwab hain in KHud-fareb aankhon mein
bichhaD ke bhi wo yahan se kahin na jaega
ye din bhi aa gae ab apne dil pe biti hui
main KHud kahunga mujhi ko yaqin na aaega

Ghazal
Ye kya zarur hamin ko wo aazmaega
Mushfiq Khwaja