ye kya sitam hai koi rang-o-bu na pahchane
bahaar mein bhi rahe band tere mai-KHane
fana ke zamzame ranj-o-mehan ke afsane
yahi mile hain nai zindagi ko nazrane
teri nigah ki jumbish mein ab bhi shamil hain
meri hayat ke kuchh muKHtasar se afsane
jo sun sako to ye sab dastan tumhaari hai
hazar bar jataya magar nahin mane
jo kar gae hain juda ek ek se hum ko
dayar-e-gharb se aae the chand begane
Ghazal
Ye kya sitam hai koi rang-o-bu na pahchane
Zehra Nigaah