اردو हिंदी
Ye kya kaha ki gham-e-ishq nagawar hua | Shaahi Shayari
ye kya kaha ki gham-e-ishq nagawar hua

Ghazal

Ye kya kaha ki gham-e-ishq nagawar hua

Asghar Gondvi

;

ye kya kaha ki gham-e-ishq nagawar hua
mujhe tu jura-e-talKH aur sazgar hua

sarishk-e-shauq ka wo ek qatra-e-nachiz
uchhaalna tha ki ek bahar-e-be-kanar hua

ada-e-ishq ki taswir khinch gai puri
wufur-e-josh se yun husn be-qarar hua

bahut latif ishaare the chashm-e-saqi ke
na main hua kabhi be-KHud na hushyar hua

liye phiri nigah-e-shauq sare aalam mein
bahut hi jalwa-e-husn aaj be-qarar hua

jahan bhi meri nigahon se ho chala madum
are baDa ghazab ai chashm sehr-kar hua

meri nigahon ne jhuk jhuk ke kar diye sajde
jahan jahan se taqaza-e-husn-e-yar hua