ye kis ne kaha tum kuch karo baaten na banao insha-ji
ye shahr tumhaara apna hai ise chhoD na jao insha-ji
jitne bhi yahan ke basi hain sab ke sab tum se pyar karen
kya un se bhi munh pheroge ye zulm na Dhao insha-ji
kya soch ke tum ne sinchi thi ye kesar kyari chahat ki
tum jin ko hansane aae the un ko na rulao insha-ji
tum lakh siyahat ke ho dhani ek baat hamari bhi mano
koi ja ke jahan se aata nahin us des na jao insha-ji
bikhraate ho sona harfon ka tum chandi jaise kaghaz par
phir in mein apne zaKHmon ka mat zahr milao insha-ji
ek raat to kya wo hashr talak rakkhegi khula darwaze ko
kab lauT ke tum ghar aaoge sajni ko batao insha-ji
nahin sirf 'qatil' ki baat yahan kahin 'sahir' hai kahin 'ali' hai
tum apne purane yaron se daman na chuDao insha-ji
Ghazal
Ye kis ne kaha tum kuch karo baaten na banao insha-ji
Qateel Shifai