اردو हिंदी
Ye kis ne dasht-e-bala se mujhe pukara hai | Shaahi Shayari
ye kis ne dasht-e-bala se mujhe pukara hai

Ghazal

Ye kis ne dasht-e-bala se mujhe pukara hai

Rahil Bukhari

;

ye kis ne dasht-e-bala se mujhe pukara hai
abhi abhi to mujhe zindagi ne haara hai

tasawwur-e-ruKH-e-jaanan kiye hue hum log
hamari aankh mein aansu nahin sitara hai

koi charagh na jugnu na aaina na kitab
ye kaisa KHwab meri aankh par utara hai

bas ek umid hai jis ne sambhaal rakkha hai
bas ek nam hai jis ka hamein sahaara hai

abhi main aaya-e-tathir paDhne wala hun
ye KHamushi kisi ilham ka ishaara hai