اردو हिंदी
Ye kis liye hai tu itna udas darwaze | Shaahi Shayari
ye kis liye hai tu itna udas darwaze

Ghazal

Ye kis liye hai tu itna udas darwaze

Ajeet Singh Hasrat

;

ye kis liye hai tu itna udas darwaze
pahan liya hai jo kala libas darwaze

tu sham-rang hua ja raha hai subh se kyun
jhalakti hai teri surat se yas darwaze

nihaarte ho ye kis kis ko nim-wa ho kar
parae des mein kaisi ye aas darwaze

hinai hath ke wo lams chhin gae jin se
bane hue hain sarapa sipas darwaze

makin makan mein na hoga to phir kahan hoga
yahin kahin hai tere aas-pas darwaze

libas aur hai lekin main koi aur nahin
mujhe tu bhul gaya ru-shanas darwaze

mujhe bhi hairat-o-'hasrat' ne but bana Dala
tujhe bhi zindagi aai na ras darwaze