اردو हिंदी
Ye kis gham se aqidat ho gai hai | Shaahi Shayari
ye kis gham se aqidat ho gai hai

Ghazal

Ye kis gham se aqidat ho gai hai

Shahzad Ahmad

;

ye kis gham se aqidat ho gai hai
gham-e-duniya se fursat ho gai hai

hum apne haal par KHud ro diye hain
kabhi aisi bhi haalat ho gai hai

agar do dil kahin bhi mil gae hain
zamane ko shikayat ho gai hai

kahan main aur kahan aalam-e-hasti
magar jina to aadat ho gai hai

zara sa gham hua aur ro diye hum
baDi nazuk tabiat ho gai hai

KHabar kya ho jahan walon ki hum ko
unhen dekhe bhi muddat ho gai hai

sakun milne laga 'shahzad' mujh ko
taDap jaane ki surat ho gai hai