ye khel bhul-bhulayyan mein hum ne khela bhi
teri talash bhi ki aur KHud ko DhunDa bhi
mera nasib thi hamwar raste ki thakan
mera harif pahaDon pe chaDh ke utra bhi
ye aarzu thi ki yak-rang ho ke ji leta
magar wo aankh jo shaitan bhi hai farishta bhi
samundaron se guhar kab ke ho gae napaid
bhanwar ke sath main gahraiyon mein utra bhi
barahnagi pe bhi guzra qaba-e-zar ka guman
libas par hua juzw-e-badan ka dhoka bhi
garajne wale baraste nahin ye sunte the
guzishta raat wo garja bhi aur barsa bhi
Ghazal
Ye khel bhul-bhulayyan mein humne khela bhi
Mazhar Imam