ye KHauf kam hai mujhe aur chamko jab tak ho
siyah raat ke sannaTo tum bhi kab tak ho
musafiro kahin tanhaiyan na ban jaana
ki sath ho bhi agar tum to ek sabab tak ho
ye kaj-adai bahut kam nasib hoti hai
tum apne gham mein akele ho phir bhi sab tak ho
jo log lauT ke KHud mere pas aae hain
wo puchhte hain ki 'ashhar' yahin pe ab tak ho
Ghazal
Ye KHauf kam hai mujhe aur chamko jab tak ho
Iqbal Ashhar Qureshi