ye KHaki aag se ho kar yahan pe pahuncha hai
KHamir uTha tha jahan se wahan pe pahuncha hai
nigah-e-husn ne tartib ulTi kar Dali
ki tir nikla nazar se kaman pe pahuncha hai
abhi talak jo fida-e-ba-nam-e-ishq raha
jo hosh aaya to sud-o-ziyan pe pahuncha hai
main zahiran to suKHan se ba-KHub waqif hun
darun ka aks agarche ziyan pe pahuncha hai
KHizan-e-hijr mein gulshan mein phul khilne lage
gazand ye bhi dil-e-na-tawan pe pahuncha hai
Ghazal
Ye KHaki aag se ho kar yahan pe pahuncha hai
Hassan Ahmad Awan