اردو हिंदी
Ye kaun hai jo sar-e-rozgar aaya hai | Shaahi Shayari
ye kaun hai jo sar-e-rozgar aaya hai

Ghazal

Ye kaun hai jo sar-e-rozgar aaya hai

Qamar Abbas Qamar

;

ye kaun hai jo sar-e-rozgar aaya hai
kaha ki ishq ka parwardigar aaya hai

wo ek tair-e-be-par azab mein jal kar
sab hijraton ki masafat guzar aaya hai

hamein na wasl ke qisse sunao rahne do
hamare haq mein faqat intizar aaya hai

jo aaya shahr-e-adam se jahan-e-hasti mein
ye waqia hai ki be-iKHtiyar aaya hai

ye kya visal ki aaKHir meri mohabbat par
ba-waqt-e-marg use eatibar aaya hai

use KHabar hi nahin dil rah-e-mohabbat mein
gham-e-hayat ka sadqa utar aaya hai

qatil-e-shauq-e-nazar hijraton ka mara 'qamar'
tumhaare shahr se bas ashk-bar aaya hai