ye karen aur wo karen aisa karen waisa karen
zindagi do din ki hai do din mein hum kya kya karen
dusron se kab talak hum pyas ka shikwa karen
lao tesha ek dariya dusra paida karen
husn KHud aae tawaf-e-ishq karne ke liye
ishq wale zindagi mein husn to paida karen
chaDh ke suli par KHaridenge KHaridar aap ko
aap apne husn ka bazar to uncha karen
ji mein aata hai ki den parde se parde ka jawab
hum se wo parda karen duniya se hum parda karen
sun raha hun kuchh luTere aa gae hain shahr mein
aap jaldi band apne ghar ka darwaza karen
kijiyega rahzani kab tak ba-nam-e-rahbari
ab se behtar aap koi dusra dhanda karen
is purani bewafa duniya ka rona kab talak
aaiye mil-jul ke ek duniya nai paida karen
dil hamein taDpae to kaise na hum taDpen 'nazir'
dusre ke bas mein rah kar apni wali kya karen

Ghazal
Ye karen aur wo karen aisa karen waisa karen
Nazeer Banarasi