اردو हिंदी
Ye kam nahin ke wahi sham ka sitara hai | Shaahi Shayari
ye kam nahin ke wahi sham ka sitara hai

Ghazal

Ye kam nahin ke wahi sham ka sitara hai

Azhar Hashmi

;

ye kam nahin ke wahi sham ka sitara hai
jise fazilat-e-tanhai ne ubhaara hai

kahin suragh nahin hai kisi bhi qatil ka
lahuluhan magar shahr ka nazara hai

main ja raha hun mukammal wajud pane ko
mujhe bhi surat-e-imkan ne ab pukara hai

wo hans ke har shab-e-zulmat kaT dete hain
wo jin ke sine mein aflak ka sipara hai

charagh jalta rahega hamesha ulfat ka
yahi wajud ke anwar ka ishaara hai

ye kaisi surat-e-mahtab khul rahi hai magar
zamin pe kis ne ise arsh se utara hai

ana-shikar pe zahir ye kab hua 'azhar'
use nibhane mein taqdir ka KHasara hai