ye kaisi aaya-e-moajiz-numa nikal aai
hawa-e-dasht se baad-e-saba nikal aai
bichha hua tha nigahon mein farsh-e-istisqa
zamin-e-dil pe nabi ki dua nikal aai
koi disha nazar aati nahin thi ta-ba-falak
zamin se ta-ba-falak ek disha nikal aai
pahaD ho gai tanhai, aur phir ek roz
usi pahaD se ghaar-e-hira nikal aai
gini-chuni hui ghaDiyon mein ek saat-e-sabz
kanar-e-dahr se bhi mawara nikal aai

Ghazal
Ye kaisi aaya-e-moajiz-numa nikal aai
Syed Kashif Raza