ye kaisi aag mujh mein jal rahi hai
ye kaisi barf mujh mein gal rahi hai
koi tasbih mujh mein paDh raha hai
koi qindil mujh mein jal rahi hai
musafir ja chuka lambe safar par
abhi tak dhup aankhen mal rahi hai
sabhi bahon ko phailae khaDe hain
qayamat hai ki har-pal Tal rahi hai
izafi ho chuka hai matn sara
kahani hashiye se chal rahi hai
mujhe sab dafn kar ke ja chuke hain
magar ye sans ab tak chal rahi hai
bahut roegi ye laDki kisi din
jo mere sath hans kar chal rahi hai
Ghazal
Ye kaisi aag mujh mein jal rahi hai
Mirza Athar Zia