اردو हिंदी
Ye kaif kaif-e-mohabbat hai koi kya jaane | Shaahi Shayari
ye kaif kaif-e-mohabbat hai koi kya jaane

Ghazal

Ye kaif kaif-e-mohabbat hai koi kya jaane

Habeeb Ashar Dehlavi

;

ye kaif kaif-e-mohabbat hai koi kya jaane
chhalak rahe hain nigahon mein dil ke paimane

kahaniyon hi pe buniyaad hai haqiqat ki
haqiqaton hi se paida hue hain afsane

na ab wo aatish-e-namrud hai na shoala-e-tur
teri nigah ko kya ho gaya KHuda jaane

hazar teri mohabbat ne rahnumai ki
guzar sake na maqam-e-junun se diwane

unhi ko hasil-e-yak-shahr-e-arzu kahiye
meri nigah mein aabaad hain jo virane

tujhe KHabar bhi hai is daur-e-KHasta-haali mein
KHud ahl-e-dil hain mazaq-e-wafa se begane

junun fareb-e-KHirad hai KHirad fareb-e-nazar
mujhe kahin ka na rakkha meri tamanna ne