ye kahna to nahin kafi ki bas pyare lage hum ko
unhen kaise bataen hum ki wo kaise lage hum ko
makin the ya kisi khoi hui jannat ki taswiren
makan is shahr ke bhule hue sapne lage hum ko
hum un ko soch mein gum dekh kar wapas chale aae
wo apne dhyan mein baiThe hue achchhe lage hum ko
bahut shaffaf the jab tak ki masruf-e-tamanna the
magar is kar-e-duniya mein baDe dhabbe lage hum ko
jahan tanha hue dil mein bhanwar se paDne lagte hain
agarche muddaten guzrin kinare se lage hum ko
Ghazal
Ye kahna to nahin kafi ki bas pyare lage hum ko
Ahmad Mushtaq