ye kab chaha ki main mashhur ho jaun
bas apne aap ko manzur ho jaun
nasihat kar rahi hai aql kab se
ki main diwangi se dur ho jaun
na bolun sach to kaisa aaina main
jo bolun sach to chakna-chur ho jaun
hai mere hath mein jab hath tera
ajab kya hai jo main maghrur ho jaun
bahana koi to ai zindagi de
ki jine ke liye majbur ho jaun
sarabon se mujhe sairab kar de
nashe mein tishnagi ke chur ho jaun
mere andar se gar duniya nikal jae
main apne-ap mein bharpur ho jaun
Ghazal
Ye kab chaha ki main mashhur ho jaun
Rajesh Reddy