اردو हिंदी
Ye kar-e-be-samar hai agar kar liya to kya | Shaahi Shayari
ye kar-e-be-samar hai agar kar liya to kya

Ghazal

Ye kar-e-be-samar hai agar kar liya to kya

Talib Ansari

;

ye kar-e-be-samar hai agar kar liya to kya
ek daere mein hum ne safar kar liya to kya

duniya se main ne bhi koi raghbat nahin rakhi
us ne bhi mujh se sarf-e-nazar kar liya to kya

KHushbu kabhi giraft mein aai na aaegi
phulon ko tu ne zer-e-asar kar liya to kya

Dheron sitare ab bhi tere aas-pas hain
main ne pasand ek sharar kar liya to kya

dil se gai na masnad o asnad ki hawas
paiham tawaf-e-shahr-e-hunar kar liya to kya

'talib' nasheb-e-shab se guzar kar dikha mujhe
tai haft-KHwan-e-baam-e-sahar kar liya to kya