ye jo zindagi ki kitab hai ye kitab bhi kya kitab hai
kahin ek hasin sa KHwab hai kahin jaan-lewa azab hai
kahin chhanw hai kahin dhup hai kahin aur hi koi rup hai
kai chehre is mein chhupe hue ek ajib si ye naqab hai
kahin kho diya kahin pa liya kahin ro liya kahin ga liya
kahin chhin leti hai har KHushi kahin mehrban be-hisab hai
kahin aansuon ki hai dastan kahin muskurahaTon ka bayan
kahin barkaton ki hain barishen kahin tishnagi be-hisab hai

Ghazal
Ye jo zindagi ki kitab hai ye kitab bhi kya kitab hai
Rajesh Reddy