ye jo izhaar karna hota hai
kar-e-be-kar karna hota hai
qabr wo naw hai ki jis mein hamein
aasman par karna hota hai
KHal-o-KHad se gurez karna bhi
lams bedar karna hota hai
ishq wo kar-e-yak-ba-yak hai jise
marhala-war karna hota hai
apne andar KHala-puri ke liye
KHud ko mismar karna hota hai
hum pas-e-dar sikh aate hain
jo sar-e-dar karna hota hai
kitna aasan hai sochna 'shahid'
kitna dushwar karna hota hai
Ghazal
Ye jo izhaar karna hota hai
Shahid Zaki

