ye jo insan KHuda ka hai shahkar
is ki qismat pe hai KHuda ki mar
marg-e-dushman ki aarzu hi sahi
dil se nikle kisi tarah to ghubar
nam badnam ho chuka hazrat
kijiye ab to jurm ka iqrar
ittifaqi hai do dilon ka milap
kaun sunta hai warna kis ki pukar
jina marna hai ban paDe ki baat
na ye aasan aur na wo dushwar
kis ko parwa ki un pe kya guzri
zindagi se jo ho gae bezar
multafit KHud na ho agar koi
aah be-sud aur fughan bekar
pur-sukun nind chahte ho 'nazir'
sath lana tha qismat-e-bedar
Ghazal
Ye jo insan KHuda ka hai shahkar
Nazeer Siddiqui