ye jo har lamha na rahat na sakun hai yun hai
us ko pane ka ajab dil mein junun hai yun hai
aadatan karta hai wo wada-KHilafi pahle
phir banata hai bahane bhi ki yun hai yun hai
mujh ko malum hai lauT aaega meri jaanib
us ke jaane pe bhi is dil mein sukun hai yun hai
dil ka khinchna jo ye jari hai faqat us ki taraf
us ki aankhon mein alag sa hi fusun hai yun hai
puchhte ho ki bhala kyun nahin mayusi hai
us ke honTon pe jo aahista si hun hai yun hai
be-sabab hai ye kahan dasht-nawardi bhi 'ziya'
apne zimme bhi koi kar-e-junun hai yun hai

Ghazal
Ye jo har lamha na rahat na sakun hai yun hai
Zia Zameer