ye jo hai tana-bana hoga kya
baad mere zamana hoga kya
jaanta hun ke tum pukaroge
mujh se par lauT aana hoga kya
hum kisi haal mein nahin milte
apna qissa purana hoga kya
aaj kal sochta bahut hun main
phir mera muskurana hoga kya
ab ke bhi jaan de na paya to
ab ke mera bahana hoga kya

Ghazal
Ye jo hai tana-bana hoga kya
Tarkash Pradeep