اردو हिंदी
Ye jo alfaz ko mahkar banaya hua hai | Shaahi Shayari
ye jo alfaz ko mahkar banaya hua hai

Ghazal

Ye jo alfaz ko mahkar banaya hua hai

Jaleel u0027Aaliu0027

;

ye jo alfaz ko mahkar banaya hua hai
ek gul ka ye sab asrar banaya hua hai

soch ko sujh kahan hai ki jo kuchh kah pae
dil ne kya kya pas-e-diwar banaya hua hai

pair jate hain ye dariya-e-shab-o-roz aksar
bagh ek sair ko us par banaya hua hai

shauq-e-dahliz pe be-tab khaDa hai kab se
dard gundhe hue hain haar banaya hua hai

ye to apnon hi ke charkon ki sulag hai warna
dil ne har aag ko gulzar banaya hua hai

toDna hai jo talluq to tazabzub kaisa
shaKH-e-ehsas pe kya bar banaya hua hai

jaan khapate hain gham-e-ishq mein KHush KHush 'ali'
kaisi lazzat ka ye aazar banaya hua hai