اردو हिंदी
Ye jang wo hai ki ab KHud bhi haarna chahun | Shaahi Shayari
ye jang wo hai ki ab KHud bhi haarna chahun

Ghazal

Ye jang wo hai ki ab KHud bhi haarna chahun

Ishrat Afreen

;

ye jang wo hai ki ab KHud bhi haarna chahun
magar main is ke liye bhi teri raza chahun

mere ghulam mere aaine uTha lana
ki main is aag ko pani mein dekhna chahun

main shaKH shaKH teri nikhaten fuzun dekhun
main taq taq teri raushni sawa chahun

aTa hua teri KHushbu se pairahan rakhkhun
bhare hue tere rangon mein dast o pa chahun

tamam shahr KHamoshi ki nind soya hai
main aise waqt mein ek KHanjar-e-nawa chahun

jo KHema-gah se niklun to qatl-gah talak
paTa hua tere aaza se rasta chahun

main ahd-nama-e-tanhai lene aai hun
fasil-e-hijr ka ek ek bab wa chahun

meri ridaen kanizon mein banT din jis ne
KHaraj-e-saya-e-diwar us se kya chahun