اردو हिंदी
Ye jahan bargah-e-ritl-giran hai saqi | Shaahi Shayari
ye jahan bargah-e-ritl-giran hai saqi

Ghazal

Ye jahan bargah-e-ritl-giran hai saqi

Asrar-ul-Haq Majaz

;

ye jahan bargah-e-ritl-giran hai saqi
ek jahannam mere sine mein tapan hai saqi

jis ne barbaad kiya mail-e-fariyaad kiya
wo mohabbat abhi is dil mein jawan hai saqi

ek din aadam o hawwa bhi kiye the paida
wo uKHuwwat teri mahfil mein kahan hai saqi

har chaman daman-e-gul-rang hai KHun-e-dil se
har taraf shewan-o-fariyaad-o-fughan hai saqi

mah o anjum mere ashkon se guhar-tab hue
kahkashan nur ki ek ju-e-rawan hai saqi

husn hi husn hai jis samt bhi uThti hai nazar
kitna pur-kaif ye manzar ye saman hai saqi

zamzama saz ka pael ki chhanake ki tarah
behtar-az-shorish-e-naqus-o-azan hai saqi

mere har lafz mein betab mera shor-e-darun
meri har sans mohabbat ka dhuan hai saqi