اردو हिंदी
Ye jabr bhi hai bahut iKHtiyar karte hue | Shaahi Shayari
ye jabr bhi hai bahut iKHtiyar karte hue

Ghazal

Ye jabr bhi hai bahut iKHtiyar karte hue

Aftab Hussain

;

ye jabr bhi hai bahut iKHtiyar karte hue
guzar rahi hai tera intizar karte hue

kali khili to usi KHush-suKHan ki yaad aai
saba bhi ab ke chali sogwar karte hue

tere badan ke gulistan ki yaad aati hai
KHud apni zat ke sahra ko par karte hue

ye dil ki rah chamakti thi aaine ki tarah
guzar gaya wo use bhi ghubar karte hue

KHud apne hath ki haibat se kanp jata hun
kabhi kabhi kisi dushman pe war karte hue