ye iztirab dekhna ye intishaar dekhna
sahar na ho kahin zara pas-e-ghubar dekhna
ye KHastagi ka faiz hai ki jis ne aankh mund kar
sikha diya mujhe badan ke aar-par dekhna
shikast kha chuke hain hum magar aziz fateho
hamare qad se kam na ho faraaz-e-dar dekhna
guzar gai jo mauj us ki yaad hi fuzul hai
magar ho us ka muD ke mujh ko bar bar dekhna
mera KHulus dekhna ki mahw-e-intizar hun
use bhala chuka hun kaif-e-intizar dekhna
Ghazal
Ye iztirab dekhna ye intishaar dekhna
Muzaffar Hanfi